[Deewan] LOKPRIYA UPANYASON KE PAKCH MEN...

Kamal Kumar Mishra kamal_bhu at rediffmail.com
Mon Aug 7 21:03:36 IST 2006


  


On Sun, 06 Aug 2006 आलोक कुमार wrote :
>4 Aug 2006 15:19:11 -0000, Kamal Kumar Mishra kamal_bhu at rediffmail.com:
>>
>>
>>
>>
>>Lokpriya(Jasoosi)upanyason ko tathakathit Ucch- Sahitya(karon) ne n sirf lagatar neechi neegahon se dekha balki aksarhan  ise Sahitya ki shreni men rakhne se inkar bhi kiya
>नहीं हम तो ऊँची निगाहों से देखते हैं।
>साहित्य की परिभाषा क्या है?
 



Priya Alok,
  Hazr bar dhanyavaad pahla to muj takniki-ashikchit ko rediff mail par hindi padhne men samarth banane ke liye aur doosra lokpriya jasoosi upanyason ko neechi neegahon se n dekhane ke liye.Bahut -bahut sukriya!!!
Sahitya ki koi sarvamanya paribhasha dena to jara pechida kaam hai,kam se kam mere jaise iitihas ke vidyarthi ke liye.Yahan meri murad Dr.Nagendra aur Ram Chandra Shukla sarikhe Hindi Sahitya ke alochakon aur itihas lekhakon se hai jinhone Hindi sahitya ka(pramanik) itihas likhate vakht lokpriya sahitya ko Sahitya ki koti men rakhna munasib nahin samjha,aur iski mahtvapurna bhumika se kahin n kahin inkar bhi kiya.vaise ,jaisa ki aap ne  mere pichle post men padha bhi hoga ,jawabdave karne vale lokpriya lekhak sahitya ki Ras- nispatti vale pakch par zor dete hain.Aur isi adhar par ve in lokpriya upanyason ke sahityak mulya ko sthapit karte hain.
ABHIVADAN SAHIT!!!
kamal.  
-------------- next part --------------
An HTML attachment was scrubbed...
URL: http://mail.sarai.net/pipermail/deewan/attachments/20060807/fb9eb4d1/attachment.html 


More information about the Deewan mailing list