[Deewan] introductory posting 1

Sanjeev Ranjan sanjeevranjanmishra at yahoo.com
Mon Mar 6 17:28:11 IST 2006


Mitron,
        Main mooltah itihaas ka chaatr raha hoon aur vyavsaayik pravandhan ka bhi prakshikchan liya hai. Thori-bahoot abhiruchi darshan, Saahitya ityadi wishyon mein bhi rahi hai tathaa pichhle kuch dashkon ke darmayaan Hindi-belt mein ghatit ho rahee saamjik tabdiliyon ke gatishastra ke prati kaafi lagav mahsoos karta hoon. Sarai / C.S.D.S. swantantra sodhvriti ke tahat nayi taknikon ke dwara gyanavinimay ki sanhita mein, daliton ke sandarbh mein, ho rahi tabdilyon ka adhyayan main apne shodhkarya “gyan-vinimay kee nayee takneekain aur mail banaate dalit” ke dwara karoonga.
Bharat mein gyan-vinimay ki prakriya kabhi bhi Jaati-nirpeksha nahee rahee hai. Praacheen kaal main gyan ke barchaswata-praapta shroton tak daliton kee pahooch durlabh thee. Bhakti-kaal ke daur mein neeche ke paaydaan par khare logon ne pahlee baar “Aayo gyan kee aandhi re” (Kabir), mahsoos kiya tha. Par, utpadan-vyavastha kee tatkaalin swarup ke chalte iskee apnee maryaadaaein thee. Jaati-nirpeksha shiksha-vyavastha kee shuruwat se haalaat badalne praarambha hue. Par, gyan ke janpad mein daliton kee aawajahi inke beech madhyabarg ke uday ke saath prarambh hua. Sabhi Chhetra mein inhone dastak diya, Aaatmakatha inkee priy saahityik vidha banee Jahan inhone apne saandra khatte-meethe anubhav darz kiye. Inhonein schoolon, collezon, librariyon evam hostalon ke anubhavon ke 0sahare aadhunik shikcha kee ghoshit jaati-nirpekshta ko samasyamoolak banaayaa. 
		
---------------------------------
Yahoo! Mail
Bring photos to life! New PhotoMail  makes sharing a breeze. 
-------------- next part --------------
An HTML attachment was scrubbed...
URL: http://mail.sarai.net/pipermail/deewan/attachments/20060306/abca7d13/attachment.html 


More information about the Deewan mailing list